Nafrat & Junoon 


Nafrat & Junoon



Writer: Monika Sharma
- Introduction - 


Nafrat & Junoon 

Thodi der bad doctor ICU se bahar Aate Hain. Vivaan aur Suhana Ke Papa Bhag kar unke paas Jaate Hain aur Puchte Hain. Doctor Suhana Thik To Hai Na?? Koi serious matter To Nahin Hai. Doctor unhe bolte Hain dekhiye aap log Chinta mat kijiye. Patient ab theek hai. unhe Sar Mein gehri chot aai hai. Isliye vo Abhi behosh hai. Aur unke right leg mein facture hua hai. Thodi Der Mein unhen hosh aa Jaayega. Ham bus unhe ICU se shift kar de. Phir aap Unse mil sakte hain. Aur yah bol kar vha se chale Jaate Hain.


Vivaan Suhana Ke Papa Ki Taraf dekhta hai aur kya Kahta Hai. Dekha Harsh papa maine kaha tha na Kuchh Nahin Hoga Suhana ko. Or vo unhe gale Lagakar jor-jor se Rone lagta hai. Main bahut Dar gaya tha papa. Mujhe laga maine use Kho Diya. Harsh papa use bolate Hain. bss kar beta. Ab aur Aansu nhi baha theek hai. Vivaan unhe bolata hai. Aap to jante ho na main uske Bina Nahin Rah sakta ho. Pichhle 4 Sal Uske Bina Kaise bitaye Hain Maine Main Bata bhi nahin sakta hun. Bahut Tadapaya Hai  aapki Ki Beti Ne Mujhe. Aur ab Jab main Laut kar wapas aa Gaya Hun To Mujhe Is Tarah pareshan kar rahi hai.


Piche se uske Dad jayavardhan use bolate Hain. Kyu Shikayat kar raha hai meri beti ki?? khabardar Jo Meri beti ke bare main Kuchh Bhi Bola To. Tange Tod Dunga Teri. Aur Muskura kar use Gale Laga Leta hai. Don't worry beta Kuchh Nahi hua hai use. Suna tune doctor ne kaha hai theek hai vo. To dekhna bus Kuchh Dinon Mein Tera Jina haram Kar Degi Meri Beti. Itne Salon ka jhagada bhi to karna hai use Tujhse. Chal ab jaldi se apni Bandar Jaisi Shakal ko theek kar.


Thode Din bad Suhana ko hosh aa jata hai. Aur vah apni family ko dekh kar smile Karti Hai. Suhana Ke Papa use Kahate Hain. yah kya stunt hai baccha. Tune to Dara diya tha Ham Sabko. khaskar ke Vivaan ko. kyon Vivaan aur aaspaas dekhta hai par vivaan vha Nahin Hota. Are Abhi To Yahi Tha. Pata nahin kahan chala gaya. Suhana Apne papa ke Muh se vivaan ka naam sunkar Udaas Ho Jaati Hai. Aur bolati Hai Mere Sar Mein dard ho raha hai mujhe rest karna hai. aur apni Aankhein Band kar leti hai.....